aa ga.e ho to raho saath sahar hone tak
ham bhī shāyad haiñ yahī raat basar hone tak
nāma-bar sust-qadam us pe ye rāh-e-dushvār
zinda rahnā hai hameñ un ko ḳhabar hone tak
dam nahīñ leñge kisī taur ye khāte haiñ qasam
zulm kī āhanī dīvār meñ dar hone tak
āsmānoñ se laḌī dil se nikal kar ik aah
ek pal chain se baiThī na asar hone tak
aql ḳhāmosh tamāshā.ī kī tasvīr banī
ishq Takrāyā hai maidān ke sar hone tak
ḳhvāb-e-ġhaflat se na bedār hue ham jo abhī
zulm baḌhtā hī rahegā ye sahar hone tak
us ke kun kahne se taḳhlīq hue kaun-o-makāñ
der kyā lagtī hai miTTī ko bashar hone tak
lauT aane ko kahā us ne to āñkheñ 'at.har'
ham ne raste pe rakhīñ us kā guzar hone tak