sukūñ nahīñ hai mohabbat meñ baat baat ke baad
vo kis libās meñ aate haiñ iltifāt ke baad
na ruḳh pe ġhāza-e-gulgūñ na maañg meñ taare
jamāl-e-sādgī-e-husn hai sifāt ke baad
ajab nahīñ mujhe mil jaa.e munsif-e-mansūr
laboñ tak aa ke rukī hai us ek baat ke baad
faroġh-e-jām se ik sub.h-e-mustaqil māñgo
sahar mile na agar mai-kade meñ raat ke baad
kalī ko dekh ke sarshār ḳhvāb kyā guzrī
nasīm-e-sub.h jagāne jo aa.ī raat ke baad
dar-e-shabistāñ pe 'mānī' kisī ne dastak dī
hayāt le ke farā.ez vo aa.ī raat ke baad