Mani Nagpuri

shahar pe chhai hui KHatra-e-yalghaar ki raat

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975
shahar pe chhā.ī huī ḳhatra-e-yalġhār kī raat
zeb-e-tārīḳh rahegī karam-e-yār kī raat
shukriya tum ko rahā pās-e-hijāb-e-jānāñ
ai shab-e-kūcha-o-barzan dar-o-dīvār kī raat
dhuup meñ kūcha-navardī nahīñ jin kā maslak
un pe nāzil na huī gesū-e-ḳhamdār kī raat
maiñ ne dekhe haiñ vahāñ kitne nizām-e-shamsī
din ko kis tarah kahūñ anjuman-e-yār kī raat
chhū na pā.eñge vo resham se mulā.em gesū
saḳht lagtī hai jinheñ vāda-e-dil-dār kī raat
shart hai dūsre aalam meñ rasā.ī varna
raat zāhid kī vahī hai jo qadah-ḳhvār kī raat
qābil-e-rashk hai ai dost hayāt-e-'mānī'
terī yādoñ kā shabīna kabhī afkār kī raat
Top Urdushayar.com