ḳharāb-e-shauq huā jab se is nigāh kā dil
charāġh-e-mai-kada hai gaah ḳhānqāh kā dil
na-jāne ḳhāk-nashīñ kis ke intizār meñ haiñ
kanār-e-rāh dhaḌaktā hai kab se raah kā dil
navāzish-e-ġham-e-daurāñ sabhī pe yaksāñ hai
gunāhgār kā dil ho ki be-gunāh kā dil
bahār se bhī numāyāñ hai ishq kā kirdār
ye lahlahātā chaman hai ki be-gunāh kā dil
falāh-e-ḳhalq meñ uThte haiñ nā-gahāñ tūfāñ
dhaḌak rahā hai havāoñ meñ sham-e-rāh kā dil
duā.eñ karte chalo tā-ba-manzil-e-maqsūd
ki rahzanoñ se na mil jaa.e ḳhizr-e-rāh kā dil
tumhārī raah meñ āsār-e-zindagī to mile
hai zarra zarra kisī āshiq-e-tabāh kā dil
sunā hai shā.ir-e-ḳhush-fikr ho gayā 'mānī'
niyāz-mand hai ik husn-e-ḳhush-nigāh kā dil