soz-e-darūñ ne raah ko āsāñ banā diyā
jab aag meñ gire to gulistāñ banā diyā
kuchh log apnī rau meñ sahar-ḳhez ho ga.e
ḳhush-posh ne harīs-e-garebāñ banā diyā
is ko adā-e-husn ki husn-e-adā kahūñ
us shoḳh ne sitam ko bhī ehsāñ banā diyā
sākin thī mauj zulf ke bahr-e-siyāh meñ
bād-e-sabā ne chheḌ ke tūfāñ banā diyā
duniyā-e-tañg-dil ne mohabbat ke ās-pās
dīvār vo uThā.ī ki zindāñ banā diyā
dil kī kalī khilā dī ġham-e-tāza-kār ne
mauj-e-nafas ko bād-e-bahārāñ banā diyā
ai rahrav-e-tajassus-e-hal ḳhatm hai safar
dushvāriyoñ ko vaqt ne āsāñ banā diyā
dīvāngī-e-ishq kā 'mānī' pe hai karam
āvāra-gard-e-kū-e-nigārāñ banā diyā