ḳhush-kām karo ḳhātir-e-nākām hameñ do
ḳhālī ho ki labrez koī jaam hameñ do
māyūs nahīñ ham abhī islāh-e-bashar se
har kū-e-ġhalat manzil-e-badnām hameñ do
jaulāñ-gah-e-ḳhasān-e-mohabbat se guzāro
kahte nahīñ ham shāhrah-e-ām hameñ do
ārāsta gesū se atā ho fan-e-sādī
nazroñ se adab-pāra-e-ḳhayyām hameñ do
maslak hai mohabbat kā val-itmām minallāh
kyoñ kashmakash-e-ḳhātir-e-nākām hameñ do
gunjān huā gesuoñ vāloñ se mohalla
ham-tarz-e-hasīnān-e-avadh shaam hameñ do
'mānī' yahī suqrāt kā sajjāda-nashīñ hai
denā hai use zahr bharā jaam hameñ do