Mani Nagpuri

kaif-e-sahba se nahin husn tarahdari ka

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975
kaif-e-sahbā se nahīñ husn tarahdārī kā
dūsrā naam javānī bhī hai sarshārī kā
halqa-e-dām-e-siyāsat ḳham-e-gesū-e-butāñ
har taraf daam bichhā dil kī giraftārī kā
shāna-kush reshmī bāloñ ke zarā āhista
kufr puḳhta hai kahāñ aaj kī zunnārī kā
lazzat-e-zaḳhm se āgāh nahīñ thī duniyā
silsila gul se chalā hai jigar-afgārī kā
ashk palkoñ pe sajā lene do ahl-e-ġham ko
in sitāroñ ko bhī mauqa do ziyā-bārī kā
baaz rahiye sar-e-gul-gasht-e-chaman se kab tak
sañg-bārī kā jo mausam vahī gul-bārī kā
shaiḳh ka.abe se koī rañg na le kar uTThe
titliyāñ kar ke tavāf aa.ī haiñ phulvārī kā
bujh ke rah jaatā hai girte hī kisī dāman par
ishq meñ soz-e-jigar chāhiye chiñgārī kā
nīm-bāz āñkheñ laraztī huī palkeñ 'mānī'
jaise ehsās shagūfoñ meñ ho bedārī kā
Top Urdushayar.com