jo inkār sar ke jhukāne ko hai
gilā ham se saare zamāne ko hai
mayassar hai har-dil-azīzī use
muravvat bhī us kī dikhāne ko hai
ye qissa hai dil kā na hogā tamām
abhī aur kitnā sunāne ko hai
nayā ik alamiya na.ī ibtilā
ḳhudā bhī hameñ āzmāne ko hai
ajab hai ye vīrān sahrā yahāñ
na tinkā koī āshiyāne ko hai
haram se bhī lauTe to 'at.har-shakīl'
safar un kā phir bāda-ḳhāne ko hai