Mani Nagpuri

nam hain wo aankhen bura ho ishq ki tasir ka

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975
nam haiñ vo āñkheñ burā ho ishq kī tāsīr kā
dūsrā ruḳh kitnā dard-añgez hai tasvīr kā
vo mujassam husn-o-tamkīñ dil sarāpā dard-o-ġham
jaise 'saudā' ke qasā.ed aur taġhazzul 'mīr' kā
hind ke lāla-ruḳho az rū-e-ta.amīr-e-vatan
rañg har ḳhitte ko de do jannat-e-kashmīr kā
shauq kī āñkheñ haiñ akkās-e-bahār-e-husn-e-dost
dil sadā band-e-ġhinā-e-lahn hai taqrīr kā
tere ḳhat meñ bil-mushāfa ham-kalāmī ke maze
tarz hai maktūb-e-ġhālib meñ yahī tahrīr kā
idda.ā-e-ḳhud-shanāsī hai sarāsar be-mahal
muḳhtalif chehra ho jab har daur kī tasvīr kā
'mānī' fan meñ shaḳhsiyat hotī hai har fankār kī
shā.irī parda uThātī hai mirī tasvīr kā
Top Urdushayar.com