Mani Nagpuri

dil-e-tabah bhi hai aalam-e-KHarab bhi hai

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975
dil-e-tabāh bhī hai ālam-e-ḳharāb bhī hai
nigāh-e-dost yahī vaqt-e-inqalāb bhī hai
do-ātisha sar-e-ruḳhsār ho ga.e aañsū
guloñ pe qatra-e-shabnam nahīñ sharāb bhī hai
nigāh-e-shauq larazte haiñ taar chilman ke
talāsh kar inhī kirnoñ meñ āftāb bhī hai
kahāñ se dekhiye mauj-e-surūr uThtī hai
nigāh-e-nāz bhī hai sāġhar-e-sharāb bhī hai
ḳhilāf-e-ahal-e-safīna hī nāḳhudā se nahīñ
jabīn-e-bahr pe larzāñ ḳhat-e-itāb bhī hai
havā-e-dahr ne phir dāmanoñ pe Daal diyā
vo gard jis meñ nihāñ bū-e-inqalāb bhī hai
ai jastgān-e-rah-e-ġham chale chalo aage
koī maqām ba-nām-e-bahisht-e-ḳhvāb bhī hai
yahī vo 'mānī' hai salmā-e-gonDvāna tirā
jo faiz-e-ruḳh se tire sāhib-e-kitāb bhī hai
Top Urdushayar.com