gardish-e-arz ruke shab hai guzarne ke liye
koī uTThā hai sitāroñ se utarne ke liye
zindagī tere masā.il kā sulajhnā to alag
kis ko fursat hai yahāñ ġhaur bhī karne ke liye
shaḳhsiyat-sāz mohabbat ne badal dī duniyā
ab vo sūrat kahāñ baaqī hai mukarne ke liye
laakh kar jaa.e taraqqī fan-e-marham-sāzī
baat ke zaḳhm to khulte nahīñ bharne ke liye
mushkileñ majma.a-nigāroñ pe huī haiñ āsāñ
rāsta ḳhud kahīñ miltā hai guzarne ke liye
kaukab-e-jām-o-subū farsh par Dhalke hoñge
shaam ham anjumanī sub.h bikharne ke liye
shorish-e-dahr ko dahlīz se Takrāne de
dar khulā chhoḌ na 'mānī' koī jharne ke liye