manziloñ ke ba.ad dil us raaz kā mahram huā
dar-haqīqat vo ḳhushī thī naam jis kā ġham huā
pesh-e-ā.īna sañvarne meñ badal kar zāviye
tum ne jis aalam ko dekhā ik alag aalam huā
un ke gesū haiñ zamāne par mukammal tabsira
bārhā ārāsta ho kar jahāñ barham huā
jazba-e-hamdardī-e-ulfat tirā mashkūr huuñ
jab kisī kī aañkh bhīgī merā dāman nam huā
chashm-e-sāqī se girā jaatā hai zarf-e-mai-kashāñ
toḌ deñ sāġhar jinheñ ehsās-e-besh-o-kam huā
kitne ḳhāke the hayāt-e-kāmrāñ ke zehn meñ
dil to is aalam meñ bhī masrūr thā jab ġham huā
shor-e-tahsīn-e-suḳhan kī rau bahāne aa.ī thī
zeb-e-lab 'mānī' ke man aanam ki man dānam huā