Saeed Shariq

dekh pae to kare koi pazirai bhi

Saeed Shariq

Islamabad, Pakistan

1993
dekh paa.e to kare koī pazīrā.ī bhī
maiñ tamāshā bhī huuñ aur us kā tamāshā.ī bhī
kaun samjhe mirī ābādī-o-vīrānī ko
jhiil kī sat.h pe kashtī bhī hai aur kaa.ī bhī
qafas-e-vasl meñ sab shor hamārā to nahīñ
phaḌphaḌātā hai bahut tā.ir-e-tanhā.ī bhī
ab udāsī kisī derīna nashe ke mānind
merī kamzorī bhī hai aur tavānā.ī bhī
kitnī lahreñ thiiñ jo mushtarka thiiñ ham donoñ meñ
so tire saath huī kam mirī gahrā.ī bhī
ab maiñ kānoñ pe rakhūñ haath ki āñkhoñ pe rakhūñ
shor itnā hai ki le jā.egā bīnā.ī bhī
bāñsurī kī vahī āvāz sunāte haiñ mujhe
Dhol bhī piano bhī sārañgī bhī shahnā.ī bhī
maiñ ne tohfe meñ na.e rañj kī chādar 'shāriq'
sirf laa.ī hī nahīñ ḳhud use pahnā.ī bhī
Top Urdushayar.com