Saeed Shariq

kisht-e-dayar-e-subh se tare ugaun main

Saeed Shariq

Islamabad, Pakistan

1993
kisht-e-dayār-e-sub.h se taare ugā.ūñ maiñ
jī chāhtā hai nit-na.e manzar dikhā.ūñ maiñ
vo shaḳhs chīḳhtā huā amboh ban chukā
kis kis ko bolne duuñ kise chup karā.ūñ maiñ
ab to hañsī bhī ḳhatm hai afsurdagī bhī ḳhatm
lab-basta-e-azal tujhe kitnā hañsā.ūñ maiñ
ik ḳhvāb misl-e-ashk nikal aa.e chashm se
darvāza-e-gumāñ jo kabhī khaTkhaTā.ūñ maiñ
tū aa chukā hai dekh liyā maan bhī liyā
ab aur kyā karūñ tujhe sar par biThā.ūñ maiñ
kyā farq paḌ sakegā añdhere kī sharh meñ
kuchh der raushnī se agar bhar bhī jā.ūñ maiñ
ḳhāmosh rah ki phir tirī āvāz sun sakūñ
nazroñ se duur jā ki tujhe dekh pā.ūñ maiñ
ā.īne is tarah mujhe taktā hai kis liye
pahchān bhī liyā ki ta.āruf karā.ūñ maiñ
'shāriq' har ek shakl se miltī hai koī shakl
āḳhir badan pe kaun sā chehra lagā.ūñ maiñ
Top Urdushayar.com