saañs kī dhaar zarā ghustī zarā kāTtī hai
kyā darāñtī hai ki ḳhud fasl-e-fanā kāTtī hai
ek tasvīr jo dīvār se uljhī thī kabhī
ab mirī nazroñ meñ rahne kī sazā kāTtī hai
terī sargoshī se kaT jaatā hai yuuñ sañg-e-sukūt
jis tarah habs ke patthar ko havā kāTtī hai
qat.a kartā hai mire halqa-e-vīrānī ko
niiñd jo moḌ pas-e-ḳhvāb sirā kāTtī hai
yūñhī girtī nahīñ ashkoñ kī siyāhī dil par
an-kahā likhtī kabhī likkhā huā kāTtī hai
chīḳhnā chāhūñ to Dastī hai ḳhamoshī 'shāriq'
chup rahūñ to mujhe zahrīlī sadā kāTtī hai