athar shakeel

rut meri basti ko is darja bhi barani na de

athar shakeel

Nagina, Uttar pradesh, India

1968
rut mirī bastī ko is darja bhī bārānī na de
shahr-e-dil ke sabza-zāroñ ko ye vīrānī na de
mil nahīñ paatā kabhī phūloñ se ġhunchoñ se mizāj
yuuñ mahak bhī apnī un ko rāt-kī-rānī na de
ḳhud-kalāmī karnī hai ḳhud se hī sargoshī mujhe
ab koī sūrat mujhe jaanī yā anjānī na de
sīm-gūñ ḳhvāboñ ko le kar ho na sar-gardāñ kabhī
is ḳharābe par to apnī jaan ai jaanī na de
be-niyāzī hī tirī hāsil mohabbat kā sahī
chashm-e-hairat ko to phir bhī dard kā paanī na de
TūTte hī nashsha-e-ulfat na rah jaa.eñ khulī
chashm-e-ummīd-e-karam ko aisī hairānī na de
chāñd hī kyā kahkashā.eñ bhī kareñ aa kar tavāf
us parī-paikar ko aisā husn-e-lā-sānī na de
narm-o-nāzuk paudh kumhlā jā.egī itnā to soch
in jaḌoñ ko apnī nafrat kā to ye paanī na de
Top Urdushayar.com