Nasir Basheer

faqih-e-shahr ka lahja hai pur-jalal bahut

Nasir Basheer

faqīh-e-shahr kā lahja hai pur-jalāl bahut
tabhī to shahr meñ phailā hai ishti.āl bahut
vo ek shaḳhs ki mahrūm-e-shāna-o-sar hai
use hai jubba-o-dastār kā ḳhayāl bahut
vo pahle aag lagātā hai phir bujhātā hai
use hai sho.abda-bāzī meñ bhī kamāl bahut
amīr-e-shahr kī saarī tijoriyāñ ḳhālī
gadā-e-shahr ke kashkol meñ hai maal bahut
muhāfizoñ kī zarūrat tumhāre jaisoñ ko
hamāre jaisoñ ko apne badan kī Dhaal bahut
kahāñ se siikh ke aa.e ho guftugū kā hunar
uThā rahe ho sar-e-bazm tum savāl bahut
usī ke haath pe bai.at usī se ahd-e-vafā
tumheñ yazīd kā jis par thā ehtimāl bahut
fazā meñ uḌte parindoñ ko bhī nahīñ ma.alūm
ki bāġhbāñ ne bichhā.e haiñ ab ke jaal bahut
jo ho rahā hai tamāshā vahī dikhātā hai
kalām hotā hai 'nāsir' kā hasb-e-hāl bahut
Top Urdushayar.com