Nasir Basheer

waiz-e-tund-KHu ko de baada-o-jam saqiya

Nasir Basheer

vā.iz-e-tund-ḳhū ko de bāda-o-jām sāqiyā
taaki vo hosh meñ kare tujh se kalām sāqiyā
saare ḳhatīb shahar ke tere ḳhilāf ho ga.e
terā nasīb ho ga.ī shohrat-e-ām sāqiyā
ham ko bhī kuchh patā chale bazm meñ kaun kaun hai
aaj atā-e-jām ho nām-ba-nām sāqiyā
tū ne kahā to ro diye tū ne kahā to hañs diye
shahar ke saare bāda-kash tere ġhulām sāqiyā
dasht tujhe dikhā.eñge ḳhaak tirī uḌā.eñge
ahl-e-junūñ ne likh liyā terā bhī naam sāqiyā
ham ne sunā hai terā bhī chāragaroñ meñ naam hai
tujh se paḌegā ek din ham ko bhī kaam sāqiyā
daftar-e-kotvāl meñ likkhā huā hai āj-kal
terā bhī naam sāqiyā merā bhī naam sāqiyā
Top Urdushayar.com