ham ko manzūr tumhārā jo na pardā hotā
saarā ilzām sar apne hī na aayā hotā
dost-ahbāb bhī be-gāne nazar aate haiñ
kaash ik shaḳhs ko itnā bhī na chāhā hotā
muft māñgā thā kisī ne so use baḳhsh diyā
aisā sastā bhī na thā dil jise bechā hotā
jaan kar ham ne kiyā ḳhud ko ḳharāb-o-rusvā
varna ham vo the farishtoñ ne bhī puujā hotā
ahl-e-duniyā ko bahut ham se bhī ummīdeñ thiiñ
zindagī tujh se magar apnā na jhagḌā hotā
nāseho ham ko bhī anjām-e-junūñ hai mālūm
us ko samjhāo jo ye sab na samajhtā hotā
vo ḳhirad-mand vo bā-hosh 'vahīd' aaj kahāñ
milne vāloñ se kabhī tum ne ye pūchhā hotā