umr ko kartī haiñ pāmāl barābar yādeñ
marne detī haiñ na jiine ye sitamgar yādeñ
haiñ kabhī ḳhūn-e-tamannā kī shanāvar yādeñ
shāḳh-e-dil par haiñ kabhī barg-e-gul-e-tar yādeñ
himmat-e-koh-kanī par bhī kabhī bhārī haiñ
aur tultī haiñ kabhī nok-e-mizha par yādeñ
thak ke duniyā se agar kījiye ḳhvāboñ kī talāsh
niiñd uḌā detī haiñ afsāne sunā kar yādeñ
raah bhūle hue sayyāh ko tanhā pā kar
luuT letī haiñ miTā detī haiñ chhup kar yādeñ
ahd-e-rafta ke pur-asrār ghane jañgal meñ
phūñk kar sehr banā detī haiñ patthar yādeñ
koī ḳhud-rafta-o-gum-gashta bhaTaktā hai jahāñ
ajnabī ban ke vahāñ miltī haiñ akasr yādeñ
jab bhī maazī ke dayāroñ se guzar hotā hai
kāsa-e-chashm liye phirtī haiñ dar-dar yādeñ