rahe vo zikr jo lab-hā-e-ātishīñ se chale
chale vo duur jo raftār-e-sātgīñ se chale
hazāroñ saal safar kar ke phir vahīñ pahuñche
bahut zamāna huā thā hameñ zamīñ se chale
ḳhirad banī rahī zanjīr-e-pā-e-shauq magar
junūñ ke jitne bhī haiñ silsile hamīñ se chale
furāt jiit ke bhī tishna-lab rahī ġhairat
hazār tīr-e-sitam zulm kī kamīñ se chale
zamāna ek hī raste pe lā ke chhoḌegā
ravāñ hai ek hī dhārā koī kahīñ se chale
gumān-o-shak ke do-rāhe pe ham se aa ke mile
vo qāfile jo kisī manzil-e-yaqīñ se chale
hameñ shikast-e-harīfāñ kā bhī malāl rahā
shikasta-dil jo ham us bazm-e-dil-nashīñ se chale
tamām gumrahiyāñ dair aur haram meñ palīñ
tamām silsilā-e-kufr ahl-e-dīñ se chale
'vahīd' sail-e-qayāmat ne raah rokī thī
jo ban ke ashk ham us chashm-e-nāznīñ se chale