ik dasht-e-be-amāñ kā safar hai chale-chalo
rukne meñ jaan o dil kā zarar hai chale-chalo
hukkām o sāreqīn kī go rah-guzar hai ghar
phir bhī barā.e-bait to dar hai chale--chalo
masjid ho madrasa ho ki majlis ki mai-kada
mahfūz shar se kuchh hai to ghar hai chale-chalo
zulmat hai yaañ bhī vaañ bhī añdhere hī hoñ to kyā
nuur ik varā-e-hadd-e-nazar hai chale-chalo
utrā kinār-e-bahr-e-atsh ek qāfila
ḳhatm us pe tishnagī kā safar hai chale-chalo
sar tak pahuñch na jaa.e koī tez-gām lahar
yaañ ḳhuuñ kī mauj tā-ba-kamar hai chale-chalo
jaañ ke ziyāñ kā Dar hai talab meñ agar to ho
tark-e-talab meñ bhī to ḳhatar hai chale-chalo