athar shakeel

usko tum mere talluq ka hawala dete

athar shakeel

Nagina, Uttar pradesh, India

1968
us ko tum mere ta.alluq kā havāla dete
maiñ bhī kal us kā shanāsā thā ye samjhā dete
ye amāvas kā añdherā hai ki chhuTtā hī nahīñ
kaash vo aa ke kabhī ghar ko ujālā dete
ham ne duniyā kā bahut saath diyā hai ab tak
kaash ik baar kabhī saath ham apnā dete
ham tahī-dast sahī phir bhī saḳhī haiñ itne
qatra miltā to evaz meñ tumheñ dariyā dete
dil-shikasta kī tasallī ko hai duniyā lekin
kaash vo bhī to kabhī aa ke sahārā dete
sirf ġhaflat ko to sonā nahīñ kahte 'at.har'
āñkhoñ ko niiñd hī ke saath meñ sapnā dete
Top Urdushayar.com