katrā ke gulsitāñ se jo sū-e-qafas chale
aisī koī havā bhī to ab ke baras chale
ādāb-e-qāfila bhī haiñ zanjīr-e-pā-e-shauq
ye kyā safar asīr-e-sadā-e-jaras chale
maanā havā-e-gul se the be-iḳhtiyār ham
phir bhī bachā ke raah kā har ḳhār-o-ḳhas chale
pāmāl ho ke rah ga.e jashn-e-bahār meñ
ye fikr thī chaman pe ḳhizāñ kā na bas chale
ai chashma-e-hayāt na dī tū ne buuñd bhī
ham tishna-kām abr kī sūrat baras chale
sub.heñ bhī aa ke zahr rag-e-jāñ meñ bhar na deñ
hijrān-e-yār tere añdhere to Das chale
un kī ye zid vo dekheñ gadā-e-rafū hameñ
ham ko ye fikr un ke garebāñ pe bas chale
thā pās-e-ābrū-e-tamannā hameñ 'vahīd'
chun kar gul-e-murād sab ahl-e-havas chale