Waheed Akhtar

jis ko mana tha KHuda KHak ka paikar nikla

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996
jis ko maanā thā ḳhudā ḳhaak kā paikar niklā
haath aayā jo yaqīñ vahm sarāsar niklā
ik safar dasht-e-ḳharābī se sarāboñ tak hai
aañkh kholī to jahāñ ḳhvāb kā manzar niklā
kal jahāñ zulm ne kaaTī thiiñ saroñ kī fasleñ
nam huī hai to usī ḳhaak se lashkar niklā
ḳhushk āñkhoñ se uThī mauj to duniyā Duubī
ham jise samjhe the sahrā vo samundar niklā
zer-e-pā ab na zamīñ hai na falak hai sar par
sail-e-taḳhlīq bhī girdāb kā manzar niklā
gum haiñ jibrīl o nabī gum haiñ kitāb o īmāñ
āsmāñ ḳhud bhī ḳhalāoñ kā samundar niklā
arsh par aaj utartī hai zamīnoñ kī vahī
kurra-e-ḳhāk sitāroñ se munavvar niklā
har payambar se sahīfe kā taqāzā na huā
haq kā ye qarz bhī niklā to hamīñ par niklā
guuñj uThā naġhma-e-kun dasht-e-tamannā meñ 'vahīd'
pā-e-vahshat had-e-imkāñ se jo bāhar niklā
Top Urdushayar.com