Waheed Akhtar

diwanon ko manzil ka pata yaad nahin hai

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996
dīvānoñ ko manzil kā patā yaad nahīñ hai
jab se tirā naqsh-e-kaf-e-pā yaad nahīñ hai
afsurdagi-e-ishq ke khulte nahīñ asbāb
kyā baat bhulā baiThe haiñ kyā yaad nahīñ hai
ham dil-zadgāñ jiite haiñ yādoñ ke sahāre
haañ miT ga.e jis par vo adā yaad nahīñ hai
ghar apnā to bhūlī hī thī āshuftagi-e-dil
ḳhud-rafta ko ab dar bhī tirā yaad nahīñ hai
lete haiñ tirā naam hī yuuñ jāgte sote
jaise ki hameñ apnā ḳhudā yaad nahīñ hai
ye ek hī ehsān-e-ġham dost hai kyā kam
be-mehri-e-daurāñ kī jafā yaad nahīñ hai
be-barse guzar jaate haiñ umDe hue bādal
jaise unheñ merā hī patā yaad nahīñ hai
is baar 'vahīd' aap kī āñkheñ nahīñ barsīñ
kyā jhūmtī zulfoñ kī ghaTā yaad nahīñ hai
Top Urdushayar.com