añdherā itnā nahīñ hai ki kuchh dikhā.ī na de
sukūt aisā nahīñ hai jo kuchh sunā.ī na de
jo sunñā chāho to bol uTTheñge añdhere bhī
na sunñā chāho to dil kī sadā sunā.ī na de
jo dekhnā ho to ā.īna-ḳhāna hai ye sukūt
ho aañkh band to ik naqsh bhī dikhā.ī na de
ye rūheñ is liye chehroñ se ḳhud ko Dhāñpe haiñ
mile zamīr to ilzām-e-bevafā.ī na de
kuchh aaise log bhī tanhā hujūm meñ haiñ chhupe
ki zindagī unheñ pahchān kar duhā.ī na de
huuñ apne-āp se bhī ajnabī zamāne ke saath
ab itnī saḳht sazā dil kī āshnā.ī na de
sabhī ke zehn haiñ maqrūz kyā qadīm o jadīd
ḳhud apnā naqd-e-dil-o-jāñ kahīñ dikhā.ī na de
bahut hai fursat-e-dīvāngī kī hasrat bhī
'vahīd' vaqt gar izn-e-ġhazal-sarā.ī na de