Waheed Akhtar

lipTi hui phirti hai nasim unki qaba se

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996
lipTī huī phirtī hai nasīm un kī qabā se
gul khilte haiñ har gaam pe dāman kī havā se
dil aisā diyā kyuuñ ki rahā kushta-a-jānāñ
tum se nahīñ ye shikva bhī karnā hai ḳhudā se
mahram haiñ hamīñ garmī-e-guftār se un kī
jo hoñT jo āñkheñ haiñ girāñ-bār hayā se
āhista karo chaak gulo apnā garebāñ
gūñje na chaman ġhunchoñ ke hañsne kī sadā se
kholeñge unhīñ hāthoñ ke nāḳhun girah-e-dil
jo basta haiñ rañgīnī-o-ḳhushbū-e-hinā se
ta.abīr ke sahrāoñ meñ haiñ ḳhvāb-e-pareshāñ
dariyā ko sarāboñ se sadā dete haiñ pyāse
lete ho agar nām-e-shahīdāñ to hai ye shart
jaañ jaa.e rahe pā na haTeñ rāh-e-vafā se
Top Urdushayar.com