Waheed Akhtar

zaban-e-KHalq pe aaya to ek fasana hua

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996
zabān-e-ḳhalq pe aayā to ik fasāna huā
vo lafz saut o sadā se jo āshnā na huā
balā-e-jāñ bhī hai jāñ-baḳhsh bhī hai ishq-e-butāñ
ajal ko uzr milā ziist ko bahāna huā
tirī nigāh kiran thī to merā dil shabnam
tirī nigah se bhī dil kā mo.āmla na huā
ba-sad-ḳhulūs rahā saath zindagī bhar kā
muqābla bhī zamāne se dostāna huā
sunā hai bazm meñ terī hai tazkira merā
tirī vafā kā ta.āruf bhī ġhā.ebāna huā
ham aise kho ga.e āġhāz meñ ḳhabar hī nahīñ
ki bazm uTh ga.ī kab ḳhatm kab fasāna huā
har ek lamha kiyā qarz zindagī kā adā
kuchh apnā haq bhī thā ham par vahī adā na huā
Top Urdushayar.com