athar shakeel

jab tumhaara zalimon se koi bhi rishta nahin

athar shakeel

Nagina, Uttar pradesh, India

1968
jab tumhārā zālimoñ se koī bhī rishta nahīñ
kis liye tum ne shahā phir zulm ko rokā nahīñ
vaqt ke badle hue ruḳh ne panāheñ chhīn liiñ
ham pas-e-dīvār baiThe haiñ magar saaya nahīñ
āsmāñ kuchh to batā yā imtihāñ hai yā sazā
silsila zulm-o-sitam kā kis liye ruktā nahīñ
sab ne kāñToñ hī pe chal kar paa.ī hai manzil yahāñ
kāmyābī ke safar meñ to koī tanhā nahīñ
tājirāna zehniyat le kar milā karte haiñ log
ab kisī kā bhī kisī se be-ġharaz rishta nahīñ
phir zamāne ke thapeḌo aao Takrāte haiñ ham
maiñ abhī TuuTā nahīñ huuñ maiñ abhī bikhrā nahīñ
us se bachhḌā to akelā ho gayā 'at.har-shakīl'
ab kisī ke saath us kā pyaar kā rishta nahīñ
Top Urdushayar.com