Waheed Akhtar

KHushbu hai kabhi gul hai kabhi shama kabhi hai

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996
ḳhushbū hai kabhī gul hai kabhī sham.a kabhī hai
vo ātish-e-sayyāl jo siine meñ bharī hai
bāda-talbī shauq kī daryūza-garī hai
sad-shukr ki taqdīr hī yaañ tishna-labī hai
ġhunchoñ ke chaTakne kā samāñ dil meñ abhī hai
milne meñ jo uTh uTh ke nazar un kī jhukī hai
ab zabt se kah de ki ye ruḳhsat kī ghaḌī hai
ai vahshat-e-ġham der se kyā soch rahī hai
māsūm hai yaad un kī bhaTak jaa.e na rasta
ḳhūñ-gashta tamannāoñ kī kyuuñ bhiiḌ lagī hai
yādoñ se kaho solā-siñgār aaj karā.eñ
ā.īnā-ba-kaf hasrat-e-dīdār khaḌī hai
lab sī liye andesha-e-dushnām-e-jahāñ se
ab apnī ḳhamoshī hī ik afsāna banī hai
Thahrī hai to ik chehre pe Thahrī rahī barsoñ
bhaTkī hai to phir aañkh bhaTaktī hī rahī hai
Top Urdushayar.com