Waheed Akhtar

tum gae sath ujalon ka bhi jhuTa Thahra

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996
tum ga.e saath ujāloñ kā bhī jhūTā Thahrā
roz-o-shab apnā muqaddar hī añdherā Thahrā
yaad karte nahīñ itnā to dil-e-ḳhāna-ḳharāb
bhūlā-bhaTkā koī do roz agar aa Thahrā
koī ilzām nasīm-e-saharī par na gayā
phuul hañsne pe ḳhatāvār akelā Thahrā
pattiyāñ rah ga.iiñ bū le uḌī āvāra sabā
qāfila mauj-e-bahārāñ kā bas itnā Thahrā
roz nazroñ se guzarte haiñ hazāroñ chehre
sāmne dil ke magar ek hī chehrā Thahrā
vaqt bhī sa.ī-e-madāva-e-alam kar na sakā
jab se tum bichhḌe ho ḳhud vaqt hai Thahrā Thahrā
dil hai vo mom milā hai jise sham.oñ kā gudāz
ab koī dekhe na dekhe yūñhī jalnā Thahrā
tum ne jo sham.a jalā.ī thī na bujhne paa.e
ab to le-de ke yahī kaam hamārā Thahrā
gungunā leñge ġhazal aaj 'vahīd'-aḳhtar kī
naam lenā hī jo dar-parda tumhārā Thahrā
Top Urdushayar.com