Waheed Akhtar

aankh jo nam ho wahi dida-e-tar mera hai

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996
aañkh jo nam ho vahī dīda-e-tar merā hai
mauj-e-ġham uTThe kahīñ us kā guhar merā hai
dekh luuñ maiñ to sitāre haiñ na dekhūñ to dhuāñ
kyā rasā itnā kaf-e-dast-e-nazar merā hai
samar o gul haiñ gulistān-faroshoñ ke liye
ābyārī ke liye ḳhūn-e-jigar merā hai
qasr ho yā ki lahad donoñ kiyraye ke makāñ
roz kahtā hai koī aa ke ye ghar merā hai
dasht kī uḌtī huī ret pe likh dete haiñ log
ye zamīñ merī ye dīvār ye dar merā hai
is shar-ābād ḳharābe meñ kahāñ husn-o-jamāl
husn jitnā bhī hai sab husn-e-nazar merā hai
maut hai jur.at-e-iz.hār kī pazmurdā-labī
sāz-e-taḳhlīq lab-e-arz-e-hunar merā hai
vo ḳhudā ho to ho maiñ DhūñDne kyuuñ jā.ūñ use
ḳhud hī apnā le mujhe baḌh ke vo gar merā hai
kaT ke sar paḌhte haiñ nezoñ pe bhī qur.ān 'vahīd'
juzv-e-tan rah ke bhī chup kis liye sar merā hai
Top Urdushayar.com