daftar-e-lauh o qalam yā dar-e-ġham khultā hai
hoñT khulte haiñ to ik bāb-e-sitam khultā hai
harf-e-inkār hai kyuuñ nār-e-jahannam kā halīf
sirf iqrār pe kyuuñ bāb-e-iram khultā hai
aabrū ho na jo pyārī to ye duniyā hai saḳhī
haath phailāo to ye tarz-e-karam khultā hai
māñgne vāloñ ko kyā izzat o rusvā.ī se
dene vāloñ kī amīrī kā bharam khultā hai
band āñkheñ rahīñ melā hai luTeroñ kā lagā
ashk luT jaate haiñ jab dīda-e-nam khultā hai
jaan dene meñ jo lazzat hai bachāne meñ kahāñ
dil kisī se jo bañdhe uqda-e-ġham khultā hai
saath rahtā hai sadā mahfil o tanhā.ī meñ
dil-e-ram-ḳhurdā magar ham se bhī kam khultā hai
dekho pastī se to har ek bulandī hai raaz
jāda-e-koh faqat zer-e-qadam khultā hai
qarz adā karnā hai jaañ kā to chalo maqtal meñ
khiñch ga.ī baag bajā tabl-o-alam khultā hai