Waheed Akhtar

un ko roz ek taza hila ek KHanjar chahiye

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996
un ko roz ik taaza hiila ek ḳhanjar chāhiye
ham ko roz ik jaañ na.ī aur ik nayā sar chāhiye
iltifāt o sargirānī par ḳhushī kyā ranj kyā
kuchh bahāna is se baḌh kar dīda-e-tar chāhiye
kyā dikhā.eñ ḳhushk lab do buuñd ke saaqī haiñ sab
pyaas sahrā-e-azal us ko samundar chāhiye
sach kī ik nannhī sī koñpal ko kuchalne ke liye
jhuuT aur dushnām ke lashkar ke lashkar chāhiye
sabr kā dāmān-e-daulat hai amīroñ kā amiir
jabr kī daryūzgī ko saiñkaḌoñ dar chāhiye
but banāne pūjne phir toḌne ke vāste
ḳhud-parastī ko nayā har roz patthar chāhiye
ham ne jis duniyā ko Thukrāyā thā un ke vāste
mil ga.e vo to usī duniyā kā chakkar chāhiye
Top Urdushayar.com