raat bhar ḳhvāb ke dariyā meñ saverā dekhā
din ke sāhil pe jo utre to añdherā dekhā
ḳhud ko likkhā bhī hai maiñ ne hī miTāyā bhī hai ḳhud
qalam-e-ġhair ne saaya bhī na merā dekhā
jin ke chehroñ pe chamak nuur kā haalā atrāf
un ke zehnoñ ko jo kholā to añdherā dekhā
jin ke teshoñ ko rahā koh-kanī kā daavā
unheñ mahloñ kā bhī karte hue pherā dekhā
jo mujhe dene ko aate the ġham apne aksar
un kī ḳhushiyoñ ne kabhī ghar bhī na merā dekhā
umr kul guzrī thī paḌhte hue chehra terā
aaj DhūñDā to kahīñ aks na terā dekhā
jo mujhe barg-e-ḳhizāñ samjhī thiiñ un āñkhoñ ne
naam aurāq-e-bahārāñ pe bhī merā dekhā