jaise hī chashm-e-ravāq se gir gayā
jagmagātā diyā taaq se gir gayā
ek laġhzish se donoñ hī rusvā hue
vo nazar se maiñ āfāq se gir gayā
sher kahne ko likkhā thā maiñ ne abhī
ek mazmūn aurāq se gir gayā
us kī nazroñ se maiñ kyā girā ek baar
yuuñ lagā jaise āfāq se gir gayā
ek beTā takabbur ke ākāsh se
baap ke lafz ik aaq se gir gayā
tīrgī jab na miT paa.ī sūkhā diyā
TimTimātā huā taaq se gir gayā
tamkanat ke sabab ik amīr-ul-mulūk
yaad rakh chashm-e-ḳhallāq se gir gayā