athar shakeel

ye ishq-e-na-murad bhi kis gumrahi mein hai

athar shakeel

Nagina, Uttar pradesh, India

1968
ye ishq-e-nā-murād bhī kis gumrahī meñ hai
khiḌkī meñ jo kabhī thā vo chehra galī meñ hai
har sub.h chheḌtī haiñ havāoñ kī uñgliyāñ
poshīda ek phuul jo nannhī kalī meñ hai
jaise har ek añg hai āñkheñ liye hue
kyā turfa ehtiyāt tirī sādgī meñ hai
nākām zindagī ho ki nākām ishq ho
jiine kī aarzū to mirī jaañ sabhī meñ hai
zardār-o-hukmarān meñ insāñ kā ehtirām
aglī sadī meñ thā na ye ab kī sadī meñ hai
tujh se bichhaḌ ke sab kī nazar meñ rahegā kyā
ab tak to ye 'shakīl' tirī raushnī meñ hai
Top Urdushayar.com