jo sochte rahe vo kar guzarnā chāhte haiñ
ki ḳhvāb āñkhoñ se ghar meñ utarnā chāhte haiñ
sunā.ī detī hai har samt se naved-e-baqā
amīr-e-shahr ki jab log marnā chāhte haiñ
parinda ḳhauf-zada haiñ ki pālne vaale
paroñ ke saath zabāñ bhī katarnā chāhte haiñ
zamīñ kī aarzū sairāb ho kisī sūrat
samundaroñ meñ jazīre ubharnā chāhte haiñ
ubharne lagtī hai ik chīḳh us kināre par
ham us kināre pe jab bhī utarnā chāhte haiñ
adam-subūt-o-shahādat meñ hoñ barī to 'vaqār'
ham apne jurm kā iqbāl karnā chāhte haiñ