Pankaj Subeer

chand ki apni kahani raat ka qissa alag

Pankaj Subeer

chāñd kī apnī kahānī raat kā qissa alag
dāstān-e-ishq meñ hai tajraba sab kā alag
ajnabī ham aaj se haiñ par safar to hai vahī
sirf kah dene se hotā hai kahīñ rasta alag
ek lamha bas vahī hai aur baaqī kuchh nahīñ
zindagī saarī alag aur vasl kā lamha alag
raushnī dīpak kī sūraj chāñd kī apnī jagah
nuur se raushan tire māthe kā ye Tiikā alag
ishq ke bīmār par saarī davā.eñ be-asar
chāra-gar us kī davā kā hai zarā nusḳha alag
chalte chalte aap ne dekhā thā ham ko bas yuuñ hī
shahr meñ us din se apnā ho gayā rutba alag
Top Urdushayar.com