Pankaj Subeer

tumhaara gham na ho to zindagi achchhi nahin lagti

Pankaj Subeer

tumhārā ġham na ho to zindagī achchhī nahīñ lagtī
ḳhamoshī se bahe jo vo nadī achchhī nahīñ lagtī
paḌe ho ishq meñ to ishq kī tahzīb bhī sīkho
kisī āshiq ke chehre par hañsī achchhī nahīñ lagtī
ye man kartā hai bādal aa ke Dhak leñ chāñd ko puurā
hoñ jab vo paas to phir chāñdnī achchhī nahīñ lagtī
kahā us ne hameñ kab vasl se inkār hai lekin
ḳhalish siine meñ us ke ba.ad kī achchhī nahīñ lagtī
ajab hai baat hairat kī hamārī shakl ye un ko
kabhī lagtī hai achchhī aur kabhī achchhī nahīñ lagtī
likhī haiñ saarī ġhazleñ bas usī ke vāste maiñ ne
vahī haañ vo hī jis ko shā.irī achchhī nahīñ lagtī
Top Urdushayar.com