ḳhūn-e-dil kā jo kuchh ashkoñ se patā miltā hai
ham ko jī khol ke rone kā mazā miltā hai
ham se is ishq-e-majāzī kī haqīqat pūchho
ke ye but jab nahīñ milte to ḳhudā miltā hai
shauq se kar mujhe pāmāl magar ye to batā
ḳhaak meñ milne se mere tujhe kyā miltā hai
aaj tak ham ko to vo but na milā par na milā
kahte haiñ DhūñDne vaale ko ḳhudā miltā hai
kund ḳhanjar kī shikāyat maiñ karūñ kyuuñ 'nātiq'
sach to ye hai ke mujhe yuuñ hī mazā miltā hai