firāq-e-yār kā ḳhatra visāl-e-yār meñ hai
ḳhizāñ kī fikr ḳhizāñ meñ na thī bahār meñ hai
ulajh rahā huuñ ki dil merā kis shumār meñ hai
na iḳhtiyār se bāhar na iḳhtiyār meñ hai
chaman kahāñ jo ḳhayāl-e-ḳhizāñ chaman meñ rahe
bahār hī vo nahīñ hosh jis bahār meñ hai
yahāñ to zikr ko kaafī nahīñ dilī harkāt
hazār daana kī tasbīh kis shumār meñ hai
chaman meñ jā ke garebāñ ko chaak kar 'nātiq'
sunā hai mausam-e-gul tere intizār meñ hai