Natiq Lakhnavi

kya bataun dil kahan hai aur kis ja dard hai

Natiq Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1878-1950
kyā batā.ūñ dil kahāñ hai aur kis jā dard hai
maiñ sarāpā dil huuñ dil merā sarāpā dard hai
ye samajh leñ pahle aap ai hazrat-e-īsā zarā
kis ke dil meñ dard hai ye aur kis kā dard hai
jo chalā duniyā se vo rakkhe hue siine pe haath
maiñ samajhtā huuñ ki sab ke dil meñ terā dard hai
mere chup rahne se to ġhāfil hai o zāhir-parast
zarf bhī utnā hī maiñ rakhtā huuñ jitnā dard hai
har taḌap par qālib-e-murda meñ aa jaatī hai ruuh
mujh marīz-e-nā-tavāñ kī jaan goyā dard hai
bach ga.e to intihā-e-ishq meñ lutf aa.egā
aur abhī to ibtidā meñ intihā kā dard hai
apnā apnā haal kah lene do 'nātiq' sab ko tum
jāntā hai vo ki kis ke dil meñ kitnā dard hai
Top Urdushayar.com