dubārā dil meñ koī inqalāb ho na sakā
tumhārī pahlī nazar ko javāb ho na sakā
kamāl-e-nūr zavāl-e-hijāb ho na sakā
vo be-naqāb kabhī be-naqāb ho na sakā
dil-e-tapīdā huā bazm-e-husn se vāpas
nazar Thahar na sakī intiḳhāb ho na sakā
ravish badal ga.ī tevar tere nahīñ badle
qayāmat aa.ī magar inqilāb ho na sakā
kahāñ dil aur kahāñ dil ke ā.īne kī adā
ġharaz savāl se behtar javāb ho na sakā
mere savāl pe us ne nazar jo kī nīchī
phir us kā mujh se javāb-ul-javāb ho na sakā
jalāl-e-rob hai 'nātiq' jamāl par us ke
vo be-naqāb kabhī be-naqāb ho na sakā