Natiq Lakhnavi

ai shamma tujh pe raat ye bhaari hai jis tarah

Natiq Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1878-1950
ai shammā tujh pe raat ye bhārī hai jis tarah
maiñ ne tamām umr guzārī hai is tarah
dil ke sivā koī na thā sarmāyā ashk kā
hairāñ huuñ kaam āñkhoñ kā jaarī hai kis tarah
unsur hai ḳhair o shar kā har ik shai meñ yuuñ nihāñ
har shamma-e-bazm nuurī o naarī hai jis tarah
bas yuuñ samajh lo mujh ko ummīd-e-sahar na thī
kyā pūchhte ho raat guzārī hai kis tarah
us naqsh-e-mustaqil pe hai sharmindā ā.īnā
tasvīr un kī dil pe utārī hai is tarah
'nātiq' jalāl meñ bhī asar is qadar nahīñ
rob-e-jamāl qalb pe taarī hai jis tarah
Top Urdushayar.com