Natiq Lakhnavi

ye dil nahin nur ka hai shoala kisi ko is se zarar nahin hai

Natiq Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1878-1950
ye dil nahīñ nuur kā hai sho.ala kisī ko is se zarar nahīñ hai
misāl barq-o-sharar hai lekin mizāj barq-o-sharar nahīñ hai
hai rū-kash-e-āftāb zarra baġhair parda bilā-vasīla
vahāñ lagā.ī hai aañkh dil ne jahāñ majāl-e-nazar nahīñ hai
haram se nikle talāsh-e-but meñ butoñ se yād-e-ḳhudā pe bigḌī
ġharaz ham āvāra-e-vafā haiñ kahīñ hamārā guzar nahīñ hai
jo dekhne vaale dekhte haiñ vo sunñe vāloñ se kyā batā.eñ
nazar ko zauq-e-zabāñ nahīñ hai zabāñ ko zauq-e-nazar nahīñ hai
azaañ ho nāqūs yā jaras ho muassar apnī jagah pe sab haiñ
magar jahāñ maiñ pahuñch gayā huuñ vahāñ kisī kā asar nahīñ hai
vo nīchī nazreñ thiiñ dil kī tālib vafā ne go jaan nazr kar dī
magar asar jo savāl meñ thā javāb meñ vo asar nahīñ hai
suḳhan mirā kaif-e-dil hai 'nātiq' vo qadr karte haiñ jo ho āshiq
nahīñ hai ye falsafa kitābī ye iktisābī hunar nahīñ hai
Top Urdushayar.com