hamāre dil kī bajā dī hai us ne iiñT se iiñT
hamāre aage kabhī us kā naam mat lenā
usī nigāh se piine meñ lutf hai saarā
alāva us ke koī aur jaam mat lenā
isī sabab se hai duniyā meñ āsmāñ badnām
tum apne haath meñ ye intizām mat lenā
dil o nazar kī baqā hai faqat mohabbat meñ
dil o nazar se koī aur kaam mat lenā
yahāñ pe achchhā hai jitnā bhī muḳhtasar ho qayām
zalīl hoge hayāt-e-davām mat lenā
ye saare log tumhārā mazāq uḌāte haiñ
jahāñ meñ aur mohabbat kā naam mat lenā
rahoge chāñd kī sargoshiyoñ se bhī mahrūm
kisī se dhuup kā jaltā kalām mat lenā
agarche tum pe huā hai yahāñ pe zulm bahut
kisī se us kā magar intiqām mat lenā