darāz itnā mirī qaid kā zamāna thā
ki vo chaman na rahā jis meñ āshiyāna thā
bahā.e ashk jo us ne ye ik bahāna thā
ki ḳhūñ-bahā ko mire ḳhaak meñ milānā thā
balā se jaan ga.ī intizār meñ merī
mujhe to aap kā ik va.ada āzmānā thā
jafā-e-charḳh zarūrī thī ishq se pahle
ki apne dil kā mujhe zor āzmānā thā
ab intizār tumhārā maiñ aur kyā kartā
huī thī der bahut mujh ko duur jaanā thā
jahāñ ham aaj ġharīb-ud-dayār haiñ 'nātiq'
usī dayār meñ apnā ġharīb-ḳhāna thā