na qatra kam hai na kaafī tamām mai-ḳhāna
jo zarf jis kā hai us kā vahī hai paimāna
asar hai sab pe mai-e-ishq kā judāgāna
kisī ko nashsha nahīñ hai koī hai dīvāna
tajalliyoñ meñ ho taqsīm ḳhāk-e-dil kyūñ-kar
hazār sham.a farozāñ aur ek parvāna
bayān-e-zaḳhm-e-jigar par vo muskurāte haiñ
hañsī hañsī meñ badalte haiñ rañg-e-afsāna
kisī ke zaḳhm se miltā nahīñ kisī kā zaḳhm
tirī nazar ke haiñ ruḳh kis qadar judāgāna
har ek zarra sharābī har ek qatra sharābī
tamām ālam-e-imkāñ hai ek mai-ḳhāna
jahāñ-numā to hai sāqī-numā nahīñ 'nātiq'
badal ke le gayā jamshed merā paimāna